Dus Minute Aur Sone Day
​Track Credits
-
Composed by Swarathma
-
Lyrics: Syed Aslam Noor and Jishnu Dasgupta
-
Electric Guitars: Varun Murali
-
Drums: Vinay Ramakrishnan
-
Bass: Jishnu Dasgupta
-
Vocals: Vasu Dixit
-
Violin: Sanjeev Nayak
Recorded and produced at The Red Music Box by Varun Murali
Artwork by Ekta Bharti
01. Dus Minute Aur Sone Day
New track on battling with the snooze button of blaring alarm filled merciless mornings when we need to get going! It's a plea for more shut-eye in the signature Swarathma style of fun lyrics accompanied by loopy guitar riffs and waves of violin.
​
Lyrics:
dus minute aur sone de, bhai mujhe
dus minute aur sone de,
der hoti hai tho hone de, bhad mein jae
dus minute aur sone de.
kehte hain sunte par karte nahin,
sehtey hi rehte hain hum toh yahin
sunega savera jab apni kabhi
banega zara sa phir khud par yakeen
​
dus minute aur sone de, bhai mujhe
dus minute aur sone de.
​
[verse-1]
raat toh hai sone ki,
din mehnat pasine ki,
baat to sahi hai payaare,
​
jaldi sabko jaane ki,
need ko bhagaane ki,
par neend se sabhi hai haare
​
[chorus]
jeena hai jaana hai chalna hai aage,
sapno ki duniya se uthke bhaage,
paana hai badhna hai neendh se toh jaage
​
dus minute aur sone de,
dus minute aur sone de,
hona hai jo bhi hone de, par bhai bas
dus minute aur sone de.
​
[rap]
koi subah se nikla hai toh,
koi raat se chela hai
har kahin zamaane mein,
bus yehi jhamela hai,
​
kaise manmaani hai aakhir,
kaun isko samjha hai,
apne khaate ke hisaab,
karvaton mein ginta hai
​
[verse-2]
har kisi ko chinta hai,
kaun kiski sunta hai,
sab toh apni dhun mein hai padey,
​
faaslon ko gintaa hai,
raaston ko chunta hai,
manzilon ka koi kya karey
​
[chorus]
jeena hai jaana hai chalna hai aage,
sapno ki duniya se uthke bhaage,
paana hai badhna hai neendh se toh jaage
​
dus minute aur sone de,
7 nahi, 8 nahi, 9 nahi
dus dus dus minute
​
dus minute aur sone de, bhai mujhe
dus minute aur sone de,
khwaabon mein khone de mujhe
dus minute aur
sone...